Kaun kahta hai k
mai tanha hu
mai tanha hu
Yeh aansuo me bheegi
Teri namkeen rangat...
Yeh Adhkuli palkein...
Sargoshiyan karta
tere hotho ka sukoot...
Barish k rang me
dhuli si teri peshani...
In sab se hain
meri tanhaiyan
saji hui...
Kaun kahta hai k
mai tanha hu
Jo tu hai to
Jo tu hai to
meri har saans
zaruri hai...
Wajood me hararat
Rago me chubhti
phaans zaroori hai...
Zindagi bhale hi
sarakti jati ho
mere aanchal se...
Ek pal ko sahi
tujhko paa lu
Yeh aas zaruri hai...
tujhko paa lu
Yeh aas zaruri hai...
Lo mai aitraaf karti hu
Mujhe tumse muhabbat hai
Muhabbat se kahin zyada
Jahan ishq ki sarhad hai
Uske bhi bahot aagey
Meri chahat hai..Jo be- hadd hai...
Tere iqraar se pahley
Tere inqaar k baad
Har lamha tujhe chaha hai
Pooja hai saraaha hai
Ibaadat se bahot zyaada
Jahan bandigi ki sarhad hai
Uske bhi bahot aagey
Meri chahat hai...Jo be-hadd hai...
Mujhe tumse muhabbat hai
Muhabbat se kahin zyada
Jahan ishq ki sarhad hai
Uske bhi bahot aagey
Meri chahat hai..Jo be- hadd hai...
Tere iqraar se pahley
Tere inqaar k baad
Har lamha tujhe chaha hai
Pooja hai saraaha hai
Ibaadat se bahot zyaada
Jahan bandigi ki sarhad hai
Uske bhi bahot aagey
Meri chahat hai...Jo be-hadd hai...
Beautiful lines ... the intensity of words are so well developed .. loved it :-)
ReplyDeleteThank you so much Amrit. You indeed made my day...:) you certainly are connoisseur of art . .:)
ReplyDeletegood one ma'am . . . (y)
ReplyDeletenjoy blogging!!
i too have started my blogging journey . . .! (which is currently obstructed by CTs :p)
http://www.sauhardawasthi.blogspot.in
http://www.sauhardawasthi2.blogspot.in
http://www.sauhardawasthi3.blogspot.in
so the boy of mature demeanor is "chubul" here...:) thanks..would be looking forward to your creativity too..:)
Delete