Saturday, February 22, 2014

Muhabbat tumko thi jaana

Humko bhi to ulfat thi



Muhabbat tumko thi jaana

Humko bhi to ulfat thi

Is dil ki beqarari ko…

Qarar sirf tumse tha

Hamari be-etbaari ka…

Etbaar tumhi pe tha

Muhabbat k woh kamsin rang

Meri nau-umr zindagi me

Ibadat me kati raatein

katey din teri bandigi me

tab…

lafzo ka parwaaz thi

khamoshi bhi awaaz thi

meri palko ki jumbish ka

pardh lena tera hamdam

beawaaz siskiyon ko bhi

samajh lena tera sanam

piye they aansu bhi toone

siye they zakhm bhi toone

magar ab…

udhad gaey hai taakey ab saarey

lahu lahu hai khwab hamarey

kabhi jo jazb hotey they

mere dard pahlu me tere

miley hai dhool me who ab

zameen k seeney me saarey…



khamoshi gungunati thi tab

ab yeh bilkhti jaati hai

Muhabbat tumko thi jaana

Humko bhi to ulfat thi

No comments:

Post a Comment

  कोई ख़ला जब माहौल में शोर के बीच बनी दरारों में बैठने लगती है , तो यूं लगता है, बेचैनी को शायद लम्हाती क़रार आने लगा है , शायद होंठ जब चुप...